Shadab Yawer
Shadab Yawer

DEATH-2020(hindi rap)

DEATH-2020(hindi rap)

7 Plays

27 Apr 2020

Yaad hai na wo syria ka bachha, Mai Allah se tumhari shikayat karunga, Ye shaheed hote huye iske alfaaz they, Zulm bahut badh gaya insano, Sabko barbaad kiya tumne jinke sache alfaaz they. Ek nai baat hai, Chhot raha ab saath hai, Sadke viraan ho rahi, Dekho maut sa sab shaant hai. Tu jo bheed me ghusta tha gharo k ander, Ab toh dehshat bhi hoti hai sabse milkar. Ye jo corona hai ye insaano pe waba hai, Tune jo zulm kiye khuda isse khafa hai. Khud ko bare garv se jo bada batata tha, Aaj ek andekhi virus se thithura aur sehma hai. Ye kya andaaz hai, qudrat hi sab raaz hai, Ye jo laasho si shaanti Ab insano ka pardafash hai, Tum kab aooge baaz, Bas kar zulm karna ab , Qudrat na aayegi baaz. Ye jo zulm kiya tumne insaano se insaano par, Janwaro se parindo par, Zameen se asaman par, Nadiyo se pahar par, Samandar se registan par. Bade bade missile bana kar khud ko taqatwar banaya, Lakho fauj bana kar kitne qatleaam karaya, Kidhar gayi teri henkri, Zameen se khala pe sab karte teri chakari , Ashraful maqhluqaat hai tu, Khud ko jo khuda banaya, Ek chote se virus ne tujhko hi tere ghar me bithaya. Zulm ko zulm Na kahna zalim ko zalim Na kahna, Ye Qom toh murda ho chuki hai inhe zinda na kahna. Ghairat mando ko bhi ab ghairat kaha, Beghairato ko tum ab beghairat Na kahna. hoga sab faisla, ab mat kar tu dhakosla, band ho gaye mandir,masjid k darwaze, ab bata kaisa hai tera hausla. tauba karle gunaaho se, maafi maang un insaano se, jispe tune zulm kiya, paiso k liye sar qalm kiya, upar wala dekh raha tha, ek jhatke me tera saara ghurur khatam kiya. ye dunia ahle-dunia ko basi huyi maaloom hoti hai, nazar waalo ko ye ujadi huyi maaloom hoti hai, ye kisne kar diya mujhe sab dosto se begaana ab toh dosti bhi dushmani maloom hoti hai....

2 Comments

Leave a comment

8 months ago

SLEPT ON 😴

4 years ago

You may also like