Leave a comment
Aaina na dekhna chahe samaaj mera Puche mera kal na dekhte yeh aaj mera Khodate kharodate yeh meri galatiyan Main bhi chal diya Meri soch pe hai raj mera Kaan band, aankhe band, inke muh pe taale Inpe zor na ki satya pe prakash daale Bole sach jo uske chehre pe tezaab daale Ghoome phir khule mein Aur jale jo woh nakaab daale Off off off hai, dimag sabka off hai Zamaana kya kahega Iska hi toh sabko khauff hai Daabke jeete hai Daabane ke yeh aadhi hai SE☓ nishedh hai toh itni kyu abaadi hai Log yeh hai aatma se khokhle Khud kare toh thik baaki. galat Dogale! Gaali de doon Hindi mein toh Bole aisa kyun kiya F*ck kyun hai cool Jaane galat kyu hai chut*ya Jaat mein yeh baatate hai Baat ke yeh kaatate hai Katne waale khat pe hai Inki mauj raat mein hai Laal batti wali gaddi Glass inke hath mein hai Rajneeti mein hai chor Police inke sath mein Meri baate tumhko sach nahi lagti Sacchi baate tumko yara pach nahi sakti Mujhse na-samajh hain dugne meri age ke Ek pair kabr me ye bhookhe hain dahej ke Betiyon ko maarte Betiyan naa paalte Betiyon pe dusro ki nazare gandi daalte Ladkiyan patake unko bandi bolte hai Aur jo raazi na ho unko saale r*ndi bolte hain Baap roz maa pe thos hath jo uthayega Bezuban bolne se pehle seekh jaayega Mard tab banega jab tu auratein dabaayega Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jaayega.
You may also like