bahana
Lo likhta hu mai woh gaana Jo gaana sabko karde deewana Acha lage gaana toh dil se mujhe lagana Paise nhi tumhari taaliya hai kamana Din to bure beetgaye ab aayega mera zamana Beeti zindagi ka tarana tumko hai sunana Aasuo ki kahani ghum ka ye khazana Kuch na chupana sab hai batana 1Akele hi yaha tak aaya mai deewana Duniya dari se begana Bachpan se mai likhta tha gana Kabhi bana eda kabhi bana dedh shana Jo bhi ho par likhta raha mai gaana Fasa har jagah par na banaya jhuta bahana Sacche ko bhi jhuta bolne wala ye doghla zamana Ye zamane ka tarana to topi pinana Topi pinake apni baate manana Apni baat manake khudko shaana batana Kaheki baat aur kya ghanteka zamana Dil me acchayi to duayein kamana Dil pe haat rakhke sunna mera tarana Kaam kaam kaam, kaam to hai bahana Duniya ko duniya daari me jo hai fasana Agar alag tumhari story hai to khudke aage padega laana Tabhi salam thokega yeh zamana Bolega bhai tujhe maine mana Kab aaraha hai tera agla wala gaana Kamzori ko haraya duniya se hoke begana Taqatwar ab mai isiliye jhundme tumhe padega aana Chahe akele chahe jhund me tum aana Apni haddi tudwana firbhi sunna mera gaana Ye gaana to bahana duniya tak apna safar hai pohchana Kabhi haaroge tum to sunna mera gaana Jab mai kar sakta hu to tum bhi karsakte ho Khudko pehchano duniya se tum lad sakte ho Apne sapno ke liye ad sakte ho Kyuki tum hard ho tum sab kuch kar sakte ho! Agar gaan samajh me aaye to kuch socho apni yaado ko kharocho khud ko aage laao kuch banke dikhao apne maa baap ka naam roshan karo kuch karke dikhao
You may also like

Leave a comment
See track description ↑