bewafa

0:00
0:00
bewafa

Haan, iss se pehle bewafa ho jaayein hum Kyun na, ay jaana, juda ho jaayein hum? Shaakh jo shajar pe thay tere kabhi Phool murjha gaye, unhi ke baithein hum Saadgi ka jaiza abhi bhi lete ho Dil yun phenk ke yeh dil nahin kyun dete ho? Hum se aashna kya hona, mere jaan-e-mann? Pyaar hi nahin, labon se jhoot kehte ho Itne laad se rakha tujhe sambhal ke Jee aur aap, guftugu mei ba-kamaal thay Sarkashi kya aagayi jo darmiyan mei Ajnabi bana gaye tum ek saans mei Bewajah Bewafa Tu bewajah? Ke befawa? Bewajah Bewafa Tu bewajah? Ke befawa? Samandar tha jo meri aankhon mei, yeh kehta tu Aankhen teri phir nashe mei har pal rehti kyun? Ulfaton ke jaam tunay hai piye bohot Meri aankhon ke nashe me kyun na dooba tu? Afsana tera tha gham bhara, mein behki yun Jhoot bolay tunay itne, mein bhi sehti hun Ek hassi hi maangi thi meine labon ki jo Phool se udhaar kab talak leti hi rahun? Tu maasuum tha ke apne gham mei pee gayi Tu bhoola jo itni yaadein, mein bhi reh gayi Seenay se laga ke waar kar gaye jo tum Be-asar tha tera pagla, mehfil keh gayi Bewajah Bewafa horror

4 Comments

Leave a comment

Author
6 months ago

See track description ↑

6 months ago

Sounds really good Fam. Keep em coming out!

1
6 months ago

The energy is solid, making waves with every rhyme! 💥👊

User avatar
19
Total plays
7
Followers
1
Following

You may also like