boys' pain

0:00
0:00
boys' pain

Log kehte hai insaan ek baar marta hai… Mujhe lagta hai… kuch log roz marte hai… Jitna tune dekha hai, usse kayi zyada maine jhela Khelne ki umar me jimmedariyon ne pela Mere baap ke hum teen bacche, do behen aur mai akela Aur bachpan ka janaza maine khud apne kandhon pe utha ke dafan kara School ki ghanti nahi, ghar ki fikr jagati thi Homework se pehle roti ki tension satati thi Duniya ke liye main bas ek normal sa ladka tha Par ghar ke liye main waqt se pehle bada aadmi ban gaya tha Na rota tha, na shikayat karta tha Har dard ko chup rehke ibadat karta tha Kyuki pata tha agar main toot gaya ek din To meri behno ka hausla bhi toot jayega us din Ek main hu jo duniya ke saamne zinda khada hai Ek main hu jo andar se kab ka mar chuka hai Do janaze uthte hai mere andar har roz Ek jo jee raha hai… ek jo dafan ho chuka hai Kabhi kabhi chhat pe khada sochta hu kitni gehrai hogi Agar gir gaya to shayad ye dard se rihaai hogi Phir sochta hu maa niche akeli reh jayegi Aur meri behno ki duniya wahi ruk jayegi To wapas mud jaata hu, jaise kuch hua hi nahi Jaise andar koi roz mara hi nahi Main khud ka hi qatil, khud ka hi gawah hu Jo ladka kabhi sapne dekhta tha, uska hi gunahgaar hu Sheeshe me dekhta hu to do chehre dikhe Ek jo zinda hai, ek jo kab ka mitti me mile Log kehte strong ban, ye waqt bhi guzar jayega Par unhe kaise bataun mera waqt hi mujhe guzar gaya Andar se ek awaaz roz mujhe bulati hai Kehti hai tu thak gaya hai, ab aaram ka waqt hai Tu bahut lad liya, ab chhod de sab kuch Ab kisi aur janam me jeene ka waqt hai Par phir dusri awaaz kehti hai ruk ja Maa ka sahara tu hai, abhi mat ja Teri behno ki duaayein abhi zinda hai tere liye Tu mar nahi sakta, tu zimmedariyon se banda hai zanjeeron se Ek main hu jo saans le raha hai majboori me Ek main hu jo kab ka mar gaya zaroori me Agar kabhi aankhon me andhera dikhe Samajh lena… Do janazo me se ek aaj bhi chal raha hai… Mera asli maut ka din wo nahi hoga… Jab main saans lena band karunga… Mera asli maut ka din wo tha… Jab maine bachpan jeena band kar diya…

1 Comments

Leave a comment

Author
7 months ago

See track description

User avatar
154
Total plays
7
Followers
1
Following

You may also like