wajood
Lagta hai darr jeene se nahi raha, Par jeene ki koi wajah bhi nahi bachi. Zindagi ko kheench raha hoon main, Par samajh nahi aata - kis ke liye jee raha hoon main. Raat bhar jaagta hoon, neend bhi rooth gayi, Soch mein hi doob kar so padhta hoon. Baaton baaton mein kabhi ro padhta hoon, Aur har mod pe khud se hi takra padhta hoon. Zindagi se shikwa kya karun, Jab khud hi uski wajah ban gaya hoon. Main toh khud ko hi kahin kho baitha hoon, Apni hi parchhaai se door ho baitha hoon. Kaise baatein karti ho tum, Jaise kuch mehsoos hi na hota ho. Aur main… kya kya karta hoon tumhare liye, Shayad tumhe kabhi dikhai hi na deta ho. Itna pyaar karta hoon tumse, Ki lafz bhi kam pad jaate hain. Likhta hoon itna, jaise lahu bhi kam pad jaaye, Gaata hoon itna, ki awaaz bhi saath chhod jaaye. Sharab tak chhod di maine, Nasha bhi ab nahi karta hoon. Bas ek baar mil jao tum, Main sab kuch phir se jee sakta hoon. Phir kyun baat karti ho chhodne ki, Jab main abhi tak yahin khada hoon? Tumse hi juda hoon main, Aur tumse hi juda rehna chahta hoon Uljhe hue saare taar hain, Main chahoon toh dor suljha doon. Bas ek baar tu samajhne ki koshish kar, Main khud ko bhi samjha doon. Par shayad baat itni si nahi hai, Jitni main bana deta hoon. Tumhe paane ki zid mein, Khud ko hi khona deta hoon. Ab lafz bhi kam padne lage hain, Jaise dil ne bolna chhod diya ho. Bas ek khamoshi reh gayi hai andar, Aur usme hi kahin main kho gaya hoon. Kisko samjhaun main apna yahan, Na koi raha, na mera wajood hi raha. Waqt laga, par jaana maine aakhir, Khud se hi kitna door ho gaya. Jo tha kabhi mera, woh bhi chhoot gaya, Jo main tha, woh bhi kahin toot gaya. Dhoondta raha apni pehchaan main, Par har dafa khud se hi rooth gaya.
You may also like

Leave a comment