Ranjan Dutta
Ranjan Dutta

baazigar.

baazigar.

114 Plays

08 Jan 2021

bahut baar apna bahut saara mehnat bahut kam pad jaati hai jitne ke liye.. kyko re public? aaj mai haar gaya fir se haato ki lakeer se mujhko mitade koi mere taqdeer se koi tarkeeb se mitade naseeb se aangaro ko raakh hote dekha hai kareeb se jo v woh kareeb the saare badnaseeb the mujjse kiya umeed mere jo habib the woh jo mere khaas the mere dil ke paaas mere aankho ke woh noor mere ruh ke awaz the haske banayi duri dur rakkhi aag se mai jala tanhayi me woh jeeye shaan se unka na koi lena dena mere iss machaan se family bulayegi to lautunga shamsan se kaushish ki, fir mehnat ki, fir sapne dekhe saath apne barkat ki khoosiyo ki roti mere do waqt ki saare saath din raat lamhe fursat ki phir aaya jo bawandar laaya saath me samandar bas aansoyo ke dariya me duba yeh sikander gaya saath tera choot meri saanse gayi loot mai toot ke bikhar Gaya zindagi reboot back whacked to the rags wondered where did i suck kaise bhulu mai judaai how do i comeback? phir kalam le uthayi likh daali yeh tabahi kaise waqt gaya beet mujhe neend v na aayi mile bohot saare dost mila dilko santosh sulga shabdo ka mashaal naya mai naya josh ab hai sahara sihayi ki kahani tanhayi ki hope tere dilko chuye aag tere bhai ki!

5 Comments

Leave a comment

3 years ago

thanks bhai 🙏

3 years ago

aaag hai

3 years ago

& u r 2 kind Bhai...loveloads🥰

You may also like