Tushar Malakar
Tushar Malakar

jwala jaga

jwala jaga

58 Plays

01 May 2019

Jawala jaga andar Kis baat se hai tang Duniya se nahi Khud se hai teri jung Bimaar ho gaya tha Laga maut thhi kareeb Woh daur tha kuchh aisa Woh waqt tha ajeeb Jab yeh laga tha lagne Ki khota hai naseeb Tab mila Mera dost Aur khud mein belief Middle class family Par soch rakhi high Aaj bhi hai yaad Bhaiya ki sutai Pitaji ka gussa Uske pichhe ki duayein Aaj bhi takleef to Maa hi yaad aaye Haan mujhse puchho kise kehte hain rona Haan mujhse puchho kya hota hai khona 2010 mein kho diya pita ji ko maine Mujhse puchho hota kya hai pitaji ka hona Mere bhaiya ji aur mousi Bhagwan ke do roop Chhanv mein hai rakha Na lagne di hai dhoop Paal ke bada kiya Bada diya naseeb hai Naseeb wale hote jo Apnon ke kareeb hai Chhoti si umar mein Ek chhotu mera yaar tha Bat ball khelte Wahi mera pyar tha Ghar ki gareebi ki Wajah se sab chhoda Aaj bhi hai yaad Bhaiya ne jab balla mera toda Khel kood chhod jimmedariyan uthai Sapnon ko chhod karne laga main padhai Tha aata taras dekh maa ki tanhai Behan baithi ghar pe Jiski sun’ni thi shehnai School mein tha maskhara Sabko tha hasata Band kamre mein roya Na kisi ko jatata Adhyapak the bolte ke isko nahi padhana hai Ashim Sir bole Tushar Malakar uska naam hai 18 ka ladka college mein jaake bhatka Chakachondh mein tha kho gaya Jo na tha main woh ho gaya The jinke dil tode unse maafi hath jod ke Jinhone diye dhokhe unhein Ram Ram bol ke Jo thi pehle nafratein Jo thi pehle gaaliyan Aaj woh hain tareefein Aaj wohi taaliyan Maine ki hai mehnat Jo dekha maine paa liya YouTube ke through naya Parivar hai bana liya Padhai mein na man Kuchh bada tha karna Jeb khaali roti aakhein Aur akela kamra Aankhon mein le aansu Hasna maine seekha Hasne ne sikhaya mujhe Jeene ka tareeka Angrezi gaanon pe Kiye desi gaane mix Dubbing sun logon ka Pyar hua fix Copyright pad gaya udd gaya content Toot gaya dil bikhre the saare sentiment Phir main khud video mein aaya Content fresh tha maine banaya Desi content jo des se juda Desi dekh desi sabka ban’ne laga Party mein mile kuchh bade youtuber Udaya jinhone mera munh par mazak Gussa main pee gaya wapas wahin gaya Jahan tha Avinash aur Rohit ka sath Maine kaam se diya Naam waalon ko jawab Sabke muhh band chukta hisaab 11 million ka tay kiya fasla Mere fans meri jaan Mere fans mera hausla Fanfeast jinke liye chhoda Unhi ne dil toda Ki dagabaazi mujhse Mujhse andar se jhinjhoda Fanfeast pe jaunga Gale fans ko lagaunga Pichhle saal nahi aaya Maafi main chahunga Jo mehnat se kamaye Un fans pe hai naaz Desh ki awaaz 4-5 dost khaas 2-4 kam par jitne lajawab Poore kiye khud ke dum par Jitne dekhe maine khwaab Kuchh logon ka yeh bhi kehna hai Na to yeh party karta hai Na hi yeh industry ke logon se milta hai Main batata hoon Iss industry culture kuchh aisa hai Yeh ugte suraj ko salaam karte hain Jab mera bura waqt mere kaam ke liye tha To mera achcha waqt bhi kaam ke liye hi hoga Jo thi pehle nafratein Jo thi pehle gaaliyan Aaj woh hain tareefein Aaj wohi taaliyan Maine ki hai mehnat Jo dekha maine paa liya YouTube ke through naya Parivar hai bana liya Bachchon ke sath mummy papa ko hansaya Gandh nai content parivar ek banaya Phir bhi kaafi log bas Gandh hi sarahate hain Mere saaf content aur views Jawab de jaate hain Instagram admin mujhe rokna yeh chahte Par yeh log meri soch kabhi rok nahi payenge Jitna bhi laga lo zor utna laga lo Par yeh ugte suraj ko kabhi rok nahi payenge FB, Insta admin ka bas kaam Kar na burai chand rupaye lekar Na deen na imaan Yeh woh jo ghumnaam Phir kya ukhaad liya itne paise dekar Ha ha ha Mera vision clear Inka hai blur blur Barsaati medhak saare karein tarr tarr Bhole bhaale bachche bigaadte ho tum Jaldi se utro yeh bithayenge na sar par Kuchh anpadhon ka kehna Tushar hai ganwaar Kyun ki apni desi boli ka kiya hai prachaar Jo kiya hai maine uska aadha bhi tu kar MLO ki degree aan sadd rahi hai ghar par Angreji aati achche se tujhe sikha bhi doon Hindustan ki main mitti tabhi to Hindi hoon Jo bhasha apni bolne mein sharmaate hain Woh wahin hain thookte jahan woh khaate hain Kapde se jaati class nahi dekhi Maine daali dariya mein karke kaafi neki Ek hi hai aur ek hi rahega Yeh talent pe yakeen na ki koyi shekhi YouTube aur viewers main aapka abhaari hoon Pyar aapka tabhi sab pe bhaari hoon Na main fake na fenku bas itna farak Maa ki aankhon ka hoon taara Jo raha hai chamak Jo thi pehle nafratein Jo thi pehle gaaliyan Aaj woh hain tareefein Aaj wohi taaliyan Maine ki hai mehnat Jo dekha maine paa liya YouTube ke through naya Parivar hai bana liya Pitaji aaj aap jahan par bhi ho Mujhe pata hai aap mujhe dekh rehe ho Tabhi aapka ashirwad aur pyar mere sath hai Mummy aap mere sar ka taj hain Daadi aur chacha ko bhi aaj mujhpe naaj hai Doston tumhari har dua mere paas hai Yeh gaana un sabhi ke liye Jinhone mujhe bahut kuchh sikhaya Aur aaj kya se kya banaya Mere sabhi chahne walon ko Dil se shukriya aur pyar Na chahne walon ko bhi bahut saara pyar Aapka apna Tushar Malakar

1 Comments

Leave a comment

5 years ago

You may also like