MC Mazdoor

nasheman

MC Mazdoor
nasheman

4 Plays

19 Feb 2019

kal ka nasheman mc naam kharaab na hota roti roti ka gar hisaab na hota roti ki koshish me aalam saara bismil hai roti milna mushkil yeh roti badi zaalim hai. roti baasi, roti aadhi, aasu me bheego ke kaati, kitti raate humne kaali, khaali pet hi guzari khaali saari kali rate, dil mein rota rehta tha, dekha tumne kabhi hai, bachcha bhooka sota hua? zoddojehad zaddojehad baap ke maathe pe dikhti thi baap ki aankhein bhi bojhal si baap ki chappal bhi ghistee thi baap ke kaandhe jhuke hue se na um-ee-deee ke saye -mar mar marte hum gardish me -fir bhi jhooti aaas nibhaye meri maa bhi bohot saadi, zindadil, - sapne dekhe par sapno ka hai aisa utne toote jitne dekhe par jurrat uski itni sikke sikke woh jamaakar kabhi phoot phoot ke roti kabhi rakhti aasu bachakar tinka tinka karke joda Ghar-on-da - bhale chota, Jharoka -par tha roshan, Bharose ki thi ronak, bas apnepan ki daulat, ek doosre ki sohbat se door hoti zulmat, angan me basti barqat. meri daastaan e hasrat. chatt tapke jab barsaat me bistar, geelee dewaaren neenden ojhal hum jaage palke bojhal par kya kare ration ka liya. rockel aaj rassam banao. bombil ka sandas ki line boht lambi dabba le-ke-ja-khaali-hai tanki school ki bhi fee hai baaki gehna bartan bhi girvi kat gayi bijli gul batti udhaar ki jala mombatti chaati me jo hai bhadki woh aag nahi hai halki darte ki jala daalegi yeh poori jhopadpatti davkha- ne me dekh boht gardi kudkud-karre sab marre boht thandi mach-char gaarele faila re dengi sad sad gaile gutter dekho jidhar, dikhrehli sadeli kachra kundi gunda gardi uchka uchki lafde jhagde raade rapaate basti me toh nal koi chalu nahie hagne ko bhi jaane ko jagah nahie ghar pe bhi do din se anaaj nahie garibi ka kya koi ilaaj nahie? kaun bola -garibi me jaat nahi hai utaro gutter me jo sach ye baat nahi hai sach sunane ke unki aukaad nahi hai sach bolnewaala yeh samaj nahi hai zyaada khote kam hai paate kam hai rote zyaada gaate jitni bhaari utni baate jaise katati waise kaate kadvi meethi bhi chak-khe umeed o hausla rakkhe, dua toh main kabhi nahi maangta par Allah nasheman salaamat rakhe kal se behtar ab halaat hai kal jaisa toh na ab azaar hai kal-beeta par-fir-bhi main-sochu yeh-baat hum-jaise kya-kal-se hote-bhi azaad hai? maa-soom kal ab hai badal gaya, girke sambhal gaya, ghum toh pighal gaya, mera maayoos kal mujhse bichad gaya mera majboor kal peeche nikal gaya mera mahfooz kal hai, toh kyun lagta darr hai mahfooz kal hai, toh lagta kyun darr hai main guzarta hu toh mehsoos karta hu ki rote hai. meri gali me aaj bhi bachche bhooke sote hai. Jai Bhim.

1 Comments

Leave a comment

6 years ago

You may also like